Hay ikhtiyaar main tere to yeh maujza kar de
wo shakhs mera nahin , ussay mera kar de
yeh ret zaar kahin khatam hi nahin hota
zara si duur to raasta hara bhara kar de
main uss ke zor ko dekhoon wo mera sabr-o-sakoon
mujhay charagh bana de ussay hawa kar de
akeli shaam buhat ji udaas karti hai
kisi ko bhej koi mera hum nawa kar de
Saturday, January 31, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment