Sunday, December 21, 2008

Labon pe Phool khiltay Hain Kisi ke Naam Se pahle

Labon pe Phool khiltay Hain Kisi ke Naam Se pahle

Dilon ke deep jalte hain charagh_e shaam se pahle


Kabhi manzar badalne par bhi Qissa chal nahi pata

Kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle


Yahi taare tumhaari Aankh ki Chilman mein Rehte The

Yahi sooraj Nikalta thaa Tumhara Baam Se pahle


Hui hai shaam Jungle main Parinde Laut.te Honge.

Ab in ko kis tarah Rokain Nawaah_e_daam Se Pahle


Ya saare rang murdaa the tumhaari shakl Banne tak

Ya saare Harf muhmal the tumhaare naam se Pahle


Huaa Hai wo Ager Munsif tou Amjad ihtiyatan Ham

Sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle


0 comments:

Post a Comment